Hazaron Phool se chehre Jhulas kar Rakh huey
Bhari bahar mein kuch is tarah se apna baagh jala
Mila nahi hy , ye pak watan, hamein tohfay mein
jo hazaron deep bujhy hyn, tou ye chiragh jala
Ye wohi Pakistan hey, jiska khwab Allama Iqbal ne dekha tha, jiskay liye quad e azam ne raat din ek kardiye thay, jis ki bunyadon mein 10 lakh shaheedon ka khoon shamil hey...jis k liye lakhon logon ne tareekh ki sab se bari hijrat ki.....jis k liye nara lagaya jata tha k Pakistan ka matlab kia La Ilaaha Illallah....
Lakin aaj hum isi Pakistan mein khof zada hyn...kahin koi goli hamari zindagi ka chiragh gul na kardey, log masjidon mein namaz parhne se dartay hyn, bachay maidanon mein khelne se dartay hyn... Pakistan ka musalman , na janay kitnay firqon mein bat chuka hey, her maslak doosrey maslak ko kafir kehne laga hy... sindhi , balochi , punjabi , pukhton mahajir...sabhi kuch hyn...kia musalman heyn ? kia pakistani hyn ?
hamarey nojawanon ka haal mulahiza ho:
ek kan mein bali hey , tou doosra kan khali hey,
shirt pe un k jali hy, munh mein bhari hui chali hey,
zaban pe un ki gali hey...ajab be khayali hy
baqol akbar:
College ne ye kese sanchon mein larkon ki tabiyat dhali hey?
larkiyoun ka haal bhi kuch mukhtalif nahi hy....
Jeans ki pent hey, bob cut baal hyn...
or ankhon mein sharm o haya ki jaga...neelay peele lens hyn...
hamida chamki na thi, jab english se begana thi,
aaj he chiraghe anjuman pehle chiragh e khana thi
Ayre rooh e Quaid , Aye rooh e Iqbal hum sharminda heyn...aap k khwabon ki tabeer ko ulat dia humney....aap ki mehnaton k samar ko palat dia humney... hum aj firqon mein, tukron mein, soobon mein bat chukay heyn...jab hamara ALLAH ek, Rasool ek, Quran ek tou ye tafarqy baziyan kiyunn.???? Aye aaj ehad karen k hum sab mil ker, ek ho ker is mulk ki abiyari karenge... is ko androni or beroni dushmano se nijat dilayenge...is chaman ko phholon se sajayenge.... or ager humne ya na kiya tou yad rakhiye ,...hamari Dastan bhi na hogi daastanon mein....Kyun ki..
Khuda ne aaj tak us qoum ki halat nahi badli
na ho jisko khyal , ap apni halat badalnay ka..
PAKISTAN ZINDABAD...PAKISTAN PAYINDABAD...!
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDelete