Ashoora


Sooraj jo gawah hy us waqya e karbal ka
sunata hy wo manzar be asraa maqtal ka
Tu insan bana phirta hy paani se zara pooch
pyaas se tarap rha hy woh darya karbal ka .


Un ghoron se shikwa hy jo rondtay chalay gaye
aal e rasool to dunya ki pehchaan ban gaye thy
Jo maar rahy thy khabees, woh insaan thehray
Janwaron se ghoray bhi insan ban gaye they


Asr bhi dunya ne kabhi ese parhi hogi
Asr me hoti nahi, par tilawat parhi hogi
Log yeh samjhay thay imam mit gaye
Ek sir ne nezay per imamat kari hogi
Dunya ne emaan ka ajab imtehaan dekha
Nezay ki nok per bolta hoa Quran dekha